Mushafi Ghulam Hamdani

ki aah humne lekin usne idhar na dekha

Mushafi Ghulam Hamdani

Amroha, Uttar pradesh, India

1751-1824
kī aah ham ne lekin us ne idhar na dekhā
is aah meñ to ham ne kuchh bhī asar na dekhā
kyā kyā bahāreñ aa.iiñ kyā kyā daraḳht phūle
naḳhl-e-duā ko lekin maiñ bārvar na dekhā
hargiz huā na yaaro vo shoḳh yaar apnā
ziiñ pesh varna ham ne kyā kyā ki kar na dekhā
rahte haiñ kyā bhalā vaañ āfat-zade hī saare
us kūche meñ kisī kā ābād ghar na dekhā
pahuñchā galī tak us ke aage khaḌā rahā maiñ
aage qadam ke rakhte phir nāma-bar na dekhā
do do pahar tak us ke aage khaḌā rahā maiñ
par us ne zid ke maare bhar kar nazar na dekhā
kyā fā.eda rakkhe hai bas ab zyāda mat ro
ronā tirā kisī ne ai chashm-e-tar na dekhā
kal yaar kī galī meñ DhūñDā jo 'mus.hafī' ko
ik laash to paḌī thī par us kā sar na dekhā
Top Urdushayar.com