allāh  de  sake  to  de  aisī  zabāñ  mujhe
apnā  samajh  ke  dil  se  lagā  le  jahāñ  mujhe
sehn-e-chaman  se  jab  bhī  uThā  hai  dhuāñ  kabhī
yaad  aa  ke  rah  gayā  hai  mirā  āshiyāñ  mujhe
ḳhār-e-nafas  ne  mujh  ko  na  sone  diyā  kabhī
ik  umr  maut  detī  rahī  loriyāñ  mujhe
maiñ  ik  charāġh  laakh  charāġhoñ  meñ  baT  gayā
rakkhā  jo  ā.inoñ  ne  kabhī  darmiyāñ  mujhe
maiñ  aane  vaale  qāfile  kā  miir  ban  gayā
chhoḌā  thā  sāthiyoñ  ne  pas-e-kārvāñ  mujhe
har  mauj  se  ulajhtī  huī  kheltī  huī
sāhil  pe  laa.ī  kashti-e-umr-e-ravāñ  mujhe
'sīmāb'  dasht-e-zīst  se  maiñ  kyā  karūñ  gila
baḳhshī  haiñ  bastiyoñ  ne  bhī  vīrāniyāñ  mujhe