kis  taraf  se  aa  rahī  haiñ  dard  kī  purvā.iyāñ
aag  sī  dene  lagī  haiñ  bhīgtī  añgnā.iyāñ
maiñ  kahāñ  thā  jab  farishtoñ  ne  ḳhushī  insāñ  ko  dī
kyuuñ  mire  hisse  meñ  aa.eñ  sirf  ashk-ārā.iyāñ
ye  shabāb-o-husn  terā  aur  ye  nāz-o-adā
TūTtī  haiñ  donoñ  hāthoñ  se  tirī  añgḌā.iyāñ
maiñ  kahāñ  jā  kar  chhupūñ  ai  gardish-e-daurāñ  batā
DhūñD  letī  haiñ  mujhe  har-jā  mirī  rusvā.iyāñ
ik  shikasta  saaz  hai  aur  ik  sadā-e-dard-e-dil
ham  haiñ  tum  ho  bekasī  hai  ġham  hai  aur  tanhā.iyāñ
mujh  ko  chāra  do  davā  mat  de  maiñ  jī  kar  kyā  karūñ
ye  duā  kar  mujh  ko  Das  leñ  maut  kī  parchhā.iyāñ
ham  ne  kyā  sochā  thā  aur  'sīmāb'  ye  kyā  ho  gayā
bajte  bajte  ruk  ga.iiñ  kyuuñ  sab  kī  sab  shahnā.iyāñ