na  Dare  barq  se  dil  kī  hai  kaḌī  merī  aañkh
us  kī  zanjīr-e-talā.ī  se  laḌī  merī  aañkh
apne  bīmār  ko  rakhtī  hai  chhupā  kar  tah-e-ḳhāk
kahte  haiñ  sāhab-e-ġhairat  hai  baḌī  merī  aañkh
ḳhaak  meñ  mil  ke  ayaañ  huuñ  gul-e-nargis  ban  kar
dekh  le  gar  tirī  phūloñ  kī  chhaḌī  merī  aañkh
is  tarah  zab.h  kiyā  teġh-e-nigah  se  mujh  ko
ḳhud  vo  kahte  haiñ  ki  zālim  hai  baḌī  merī  aañkh
dil  meñ  hai  kuchh  asar-e-josh-e-mohabbat  ab  tak
tar  huī  dekh  ke  sāvan  kī  jhaḌī  merī  aañkh
hasrat-e-dīd  meñ  pathrā  ke  banī  sañg-e-dar
na  haTī  phir  tire  dar  par  jo  aḌī  merī  aañkh
raat  bhar  ashk  ke  dānoñ  pe  ginā  kartī  hai
furqat-e-yār  meñ  ek  ek  ghaḌī  merī  aañkh
dil  ke  TukḌe  mirī  palkoñ  meñ  jo  dekhā  to  kahā
jāntī  thī  inheñ  phūloñ  kī  chhaḌī  merī  aañkh
rakh  liye  pesh-e-hubāb-e-lab-e-jū  muñh  par  haath
nazar  aa.ī  unheñ  dariyā  meñ  paḌī  merī  aañkh
dauḌ  kar  mujh  se  gale  mil  ga.e  milte  hī  nazar
dil  kī  taqdīr  laḌī  yā  ki  laḌī  merī  aañkh
ai  shab-e-vasl  na  ma.alūm  ye  kyā  kar  ga.ī  tū
band  hotī  nahīñ  ab  koī  ghaḌī  merī  aañkh
kahte  haiñ  aañkh  laḌāte  hī  tū  patthar  ban  jaa.e
hai  tirā  dil  to  bahut  narm  kaḌī  merī  aañkh
yād-e-ḳhāl-e-ruḳh-e-jānāñ  kī  madad  se  nāseh
shab  furqat  ke  sitāroñ  se  laḌī  merī  aañkh
ho  ga.ī  fart-e-nazākat  se  hayā  kī  shohrat
aa  gayā  un  ko  pasīna  jo  laḌī  merī  aañkh
hai  jo  ashkoñ  meñ  udāhaT  to  na  ghabrā  ai  dil
roī  hai  dekh  ke  missī  kī  dhaḌī  merī  aañkh