Taashshuq Lakhnavi

yaad-e-ayyam ki ham-rutba-e-rizwan hum the

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
yād-e-ayyām ki ham-rutba-e-rizvāñ ham the
bāġhbān-e-chaman-e-mahfil-e-jānāñ ham the
qābil-e-qatl na ai lashkar-e-mizhgāñ ham the
dil kī ujḌī huī bastī ke nigahbāñ ham the
dhajjiyāñ jeb kī hāthoñ meñ haiñ aaj ai vahshat
jāma-zeboñ se kabhī dast-o-garebāñ ham the
jaan lī gesūoñ ne ulfat-e-ruḳh meñ āḳhir
kāfiroñ ne hameñ maarā ki musalmāñ ham the
ġhair ke ghar kī taraf ke jo uThe the parde
itr bāloñ meñ vo malte the pareshāñ ham the
qafas-e-tañg meñ ghuT ghuT ke na marte kyūñ-kar
nāz-parvarda-e-āġhosh-e-gulistāñ ham the
ruuh taḌpī hai pa-e-lāla-e-sahrā kyā kyā
fasl-e-gul josh pe thī qaidi-e-zindāñ ham the
dil ke dene meñ ta.ammul hameñ hotā kyūñ-kar
ye hasīnoñ kī amānat thī nigahbāñ ham the
aaj thī shab ko bahut dāġh-e-jigar meñ sozish
kahtī thī un kī malāhat namak-afshāñ ham the
sho.ala-e-husn se thā dūd-e-dil apnā avval
aag duniyā meñ na aa.ī thī ki sozāñ ham the
har taraf dahr meñ thā zulf kī zanjīr kā gul
magar ai josh-e-junūñ silsila-jumbāñ ham the
qāfile raat ko aate the udhar jaan ke aag
dasht-e-ġhurbat meñ jidhar ai dil-e-sozāñ ham the
kahte haiñ āriz-e-mahbūb ki thī raat jo garm
chāñd par os paḌī thī araq-afshāñ ham the
tauq minnat ke gale meñ the vo din yaad karo
tum par us ahd meñ bhī chāk-garebāñ ham the
dete phirte the hasīnoñ kī galī meñ āvāz
kabhī ā.īna-farosh-e-dil-e-hairāñ ham the
Duub jaate haiñ jo rah rah ke 'ta.ashshuq' taare
misl-e-abr āḳhir-e-shab vasl meñ giryāñ ham the
Top Urdushayar.com