yād-e-ayyām  ki  ham-rutba-e-rizvāñ  ham  the
bāġhbān-e-chaman-e-mahfil-e-jānāñ  ham  the
qābil-e-qatl  na  ai  lashkar-e-mizhgāñ  ham  the
dil  kī  ujḌī  huī  bastī  ke  nigahbāñ  ham  the
dhajjiyāñ  jeb  kī  hāthoñ  meñ  haiñ  aaj  ai  vahshat
jāma-zeboñ  se  kabhī  dast-o-garebāñ  ham  the
jaan  lī  gesūoñ  ne  ulfat-e-ruḳh  meñ  āḳhir
kāfiroñ  ne  hameñ  maarā  ki  musalmāñ  ham  the
ġhair  ke  ghar  kī  taraf  ke  jo  uThe  the  parde
itr  bāloñ  meñ  vo  malte  the  pareshāñ  ham  the
qafas-e-tañg  meñ  ghuT  ghuT  ke  na  marte  kyūñ-kar
nāz-parvarda-e-āġhosh-e-gulistāñ  ham  the
ruuh  taḌpī  hai  pa-e-lāla-e-sahrā  kyā  kyā
fasl-e-gul  josh  pe  thī  qaidi-e-zindāñ  ham  the
dil  ke  dene  meñ  ta.ammul  hameñ  hotā  kyūñ-kar
ye  hasīnoñ  kī  amānat  thī  nigahbāñ  ham  the
aaj  thī  shab  ko  bahut  dāġh-e-jigar  meñ  sozish
kahtī  thī  un  kī  malāhat  namak-afshāñ  ham  the
sho.ala-e-husn  se  thā  dūd-e-dil  apnā  avval
aag  duniyā  meñ  na  aa.ī  thī  ki  sozāñ  ham  the
har  taraf  dahr  meñ  thā  zulf  kī  zanjīr  kā  gul
magar  ai  josh-e-junūñ  silsila-jumbāñ  ham  the
qāfile  raat  ko  aate  the  udhar  jaan  ke  aag
dasht-e-ġhurbat  meñ  jidhar  ai  dil-e-sozāñ  ham  the
kahte  haiñ  āriz-e-mahbūb  ki  thī  raat  jo  garm
chāñd  par  os  paḌī  thī  araq-afshāñ  ham  the
tauq  minnat  ke  gale  meñ  the  vo  din  yaad  karo
tum  par  us  ahd  meñ  bhī  chāk-garebāñ  ham  the
dete  phirte  the  hasīnoñ  kī  galī  meñ  āvāz
kabhī  ā.īna-farosh-e-dil-e-hairāñ  ham  the
Duub  jaate  haiñ  jo  rah  rah  ke  'ta.ashshuq'  taare
misl-e-abr  āḳhir-e-shab  vasl  meñ  giryāñ  ham  the