kab  apnī  ḳhushī  se  vo  aa.e  hue  haiñ
mire  jazb-e-dil  ke  bulā.e  hue  haiñ
kajī  par  jo  aflāk  aa.e  hue  haiñ
un  āñkhoñ  ke  shāyad  sikhā.e  hue  haiñ
kabhī  to  shahīdoñ  kī  qabroñ  pe  aao
ye  sab  ghar  tumhāre  basā.e  hue  haiñ
kiyā  hai  jo  kuchh  zikr  mujh  dil-jale  kā
pasīne  meñ  bilkul  nahā.e  hue  haiñ
zarā  phuul  se  paañv  maile  na  hoñge
tum  aao  ham  āñkheñ  bichhā.e  hue  haiñ
kahīñ  ḳhaak  bhī  ab  na  baiThegī  apnī
ki  un  kī  galī  se  uThā.e  hue  haiñ
giregā  zamīñ  pe  na  ḳhūn-e-shahīdāñ
abas  aap  dāman  uThā.e  hue  haiñ
faqat  paas  hai  un  ke  tīr-e-nigah  kā
jo  siine  se  dil  ko  lagā.e  hue  haiñ
janāza  mirā  dosto  kal  uThānā
ki  vo  aaj  mehñdī  lagā.e  hue  haiñ
unheñ  paas  hai  dil  hamārā  muqarrar
vahī  ham  se  āñkheñ  churā.e  hue  haiñ
jo  hai  ghar  ke  andar  vahī  ghar  ke  bāhar
vo  āñkhoñ  meñ  dil  meñ  samā.e  hue  haiñ
mere  ba.ad  jaane  ke  utreñge  kyūñ-kar
ye  kapḌe  jo  mere  pinhā.e  hue  haiñ
na  ho  sabza-rañgoñ  meñ  kyuuñ  un  kī  shohrat
mire  qatl  par  zahr  khaa.e  hue  haiñ
mire  ḳhat  ke  purze  uḌaa.e  unhoñ  ne
kisī  ke  sikhā.e  paḌhā.e  hue  haiñ
ḳhudā  zulf  se  dil  jigar  ko  bachā.e
baḌe  pech  meñ  donoñ  aa.e  hue  haiñ
taḌap  kar  shab-e-hijr  meñ  kyuuñ  na  ro.uuñ
chamaktī  hī  barq  abr  aa.e  hue  haiñ
'ta.ashshuq'  vo  jo  chāheñ  bāteñ  sunā.eñ
sar-e-ijz  ham  to  jhukā.e  hue  haiñ