Taashshuq Lakhnavi

bagh mein phulon ko raund aai sawari aap ki

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
baaġh meñ phūloñ ko rauñd aa.ī savārī aap kī
kis qadar mamnūn hai bād-e-bahārī aap kī
bevafā.ī aap kī ġhaflat-shi.ārī aap kī
mere dil ne ādateñ sīkhī haiñ saarī aap kī
hai yaqīñ bāham gale milne ko uTTheñ dast-e-shauq
ho agar tasvīr bhī yakjā hamārī aap kī
mai-kade meñ TuuTe jaate haiñ baham laḌ laḌ ke jaam
mufsida-pardāz hai chashm-e-ḳhumārī aap kī
jazb ise kahte haiñ aa.e kahne merī qabr tak
ab yahāñ se baḌh nahīñ saktī savārī aap kī
kartī haiñ andher hāthoñ kī ye kaalī mailiyāñ
qātil-e-ālam huī hai sogvārī aap kī
jā-ba-jā hote haiñ dāman-gīr dil ushshāq ke
har qadam par aaj ruktī hai savārī aap kī
yād-e-ayyāme ki thā zoroñ pe jazb-e-husn-o-ishq
vo mire dil kā taḌapnā be-qarārī aap kī
hai shab-e-mahtāb gore rañg se kapḌe siyāh
husn ko chamkā rahī hai sogvārī aap kī
do tarah ke ek sāġhar meñ labālab hai sharāb
ḳhvāb-ālūda nahīñ chashm-e-ḳhumārī aap kī
mere lāshe ko liye phirte haiñ un rāhoñ meñ log
jin galī-kūchoñ meñ phirtī thī savārī aap kī
aaj kis par rahm aayā kis ko ro.e haiñ huzūr
hai nasīb-e-dushmanāñ āvāz bhārī aap kī
ahd meñ majnūñ ke lailā kā rahā kyā daur daur
ab 'ta.ashshuq' ke zamāne meñ hai baarī aap kī
Top Urdushayar.com