baaġh  meñ  phūloñ  ko  rauñd  aa.ī  savārī  aap  kī
kis  qadar  mamnūn  hai  bād-e-bahārī  aap  kī
bevafā.ī  aap  kī  ġhaflat-shi.ārī  aap  kī
mere  dil  ne  ādateñ  sīkhī  haiñ  saarī  aap  kī
hai  yaqīñ  bāham  gale  milne  ko  uTTheñ  dast-e-shauq
ho  agar  tasvīr  bhī  yakjā  hamārī  aap  kī
mai-kade  meñ  TuuTe  jaate  haiñ  baham  laḌ  laḌ  ke  jaam
mufsida-pardāz  hai  chashm-e-ḳhumārī  aap  kī
jazb  ise  kahte  haiñ  aa.e  kahne  merī  qabr  tak
ab  yahāñ  se  baḌh  nahīñ  saktī  savārī  aap  kī
kartī  haiñ  andher  hāthoñ  kī  ye  kaalī  mailiyāñ
qātil-e-ālam  huī  hai  sogvārī  aap  kī
jā-ba-jā  hote  haiñ  dāman-gīr  dil  ushshāq  ke
har  qadam  par  aaj  ruktī  hai  savārī  aap  kī
yād-e-ayyāme  ki  thā  zoroñ  pe  jazb-e-husn-o-ishq
vo  mire  dil  kā  taḌapnā  be-qarārī  aap  kī
hai  shab-e-mahtāb  gore  rañg  se  kapḌe  siyāh
husn  ko  chamkā  rahī  hai  sogvārī  aap  kī
do  tarah  ke  ek  sāġhar  meñ  labālab  hai  sharāb
ḳhvāb-ālūda  nahīñ  chashm-e-ḳhumārī  aap  kī
mere  lāshe  ko  liye  phirte  haiñ  un  rāhoñ  meñ  log
jin  galī-kūchoñ  meñ  phirtī  thī  savārī  aap  kī
aaj  kis  par  rahm  aayā  kis  ko  ro.e  haiñ  huzūr
hai  nasīb-e-dushmanāñ  āvāz  bhārī  aap  kī
ahd  meñ  majnūñ  ke  lailā  kā  rahā  kyā  daur  daur
ab  'ta.ashshuq'  ke  zamāne  meñ  hai  baarī  aap  kī