uns  hai  ḳhāna-e-sayyād  se  gulshan  kaisā
nāz-parvard-e-qafas  huuñ  maiñ  nasheman  kaisā
ham  vo  uryāñ  haiñ  ki  vāqif  nahīñ  ai  josh-e-junūñ
naam  kis  shai  kā  garebān  hai  dāman  kaisā
apnī  āzurda-dilī  ba.ad-e-fanā  kaam  aa.ī
Dher  yahāñ  gard-e-kudūrat  ke  haiñ  madfan  kaisā
kah  diyā  bas  ki  tirī  aah  meñ  tāsīr  nahīñ
ye  na  dekhā  ki  ye  siina  meñ  hai  rauzan  kaisā
chhuT  ke  us  phuul  se  barbād  paḌe  phirte  haiñ
ham  to  ab  tā.ir-e-nighat  haiñ  nasheman  kaisā
dil  use  de  ke  chale  mulk-e-adam  ko  be-ḳhauf
maal  rakhte  nahīñ  andesha-e-rahzan  kaisā
dil-e-betāb  kī  hai  sīna-e-sozāñ  meñ  sadā
asl  paara  kī  hai  kyā  dāna-e-gulḳhan  kaisā
thā  kabhī  daur-e-asīrān-e-qafas  ai  sayyād
ab  to  ik  phuul  kī  muhtāj  haiñ  gulshan  kaisā
chaar  din  meñ  ye  zamāna  bhī  guzar  jā.egā
abhī  ro.eñge  javānī  ko  laḌakpan  kaisā
saḳht-jāñ  haiñ  tirī  talvār  se  kyā  ḳhauf  hameñ
saḳhtī-e-marg  se  dabte  nahīñ  aahan  kaisā
jal  ga.e  sūrat-e-parvāna  tab  ishq  se  ham
pheñk  de  laash  uThā  kar  koī  madfan  kaisā
ek  din  ablaq-e-ayyām  karegā  pāmāl
mujh  se  rah  rah  ke  bigaḌtā  hai  ye  tausan  kaisā
ishq  se  kaam  na  thā  husn  kī  parvā  bhī  na  thī
yaad  aatā  hai  javānī  meñ  laḌakpan  kaisā
khelte  ho  dil-e-betāb  se  phūloñ  kī  tarah
aur  hotā  hai  mirī  jaan  laḌakpan  kaisā
sham.a  se  aap  ke  sozāñ  ye  sunā  karte  haiñ
koī  muhtāj-e-kafan  bhī  na  ho  madfan  kaisā
chāhtā  huuñ  koī  dekhe  na  terī  teġh  ke  zaḳhm
chashm-e-jarrāh  hai  kyā  dīda-e-sozan  kaisā
naqsh-e-pā  haiñ  havas-e-nām-o-nishāñ  ḳhaak  nahīñ
ham  to  uThne  ke  liye  baiThe  haiñ  maskan  kaisā
āñdhiyāñ  garm  jo  chaltī  haiñ  mirī  aahoñ  se
muñh  chhupātā  hai  charāġh-e-tah-e-dāman  kaisā
siina  apnā  hai  hamārā  dil-e-sozāñ  apnā
sham-e-fānūs  o  charāġh-e-tah-e-dāman  kaisā
duur  jab  se  sifat-e-barg-e-ḳhizāñ-dīda  hai
yaad  aatā  hai  shab-o-roz  vo  gulshan  kaisā