josh  par  thiiñ  sifat-e-abr-e-bahārī  āñkheñ
ba  ga.iiñ  āñsuoñ  ke  saath  hamārī  āñkheñ
haiñ  jilau  meñ  sifat-e-abr-e-bahārī  āñkheñ
uThne  detī  haiñ  kahāñ  gard-e-savārī  āñkheñ
kyuuñ  asīrān-e-qafas  kī  taraf  aanā  chhoḌā
pher  liiñ  tū  ne  bhī  ai  bād-e-bahārī  āñkheñ
sāmne  aa  ga.ī  gul-gasht  meñ  nargis  shāyad
palkoñ  se  chīñ-ba-jabīñ  haiñ  jo  tumhārī  āñkheñ
kyā  durr-e-ashk  se  haiñ  dāman-e-mizhgāñ  mamlū
kab  zabāñ  hai  ki  kareñ  shukr-guzārī  āñkheñ
dekhte  haiñ  taraf-e-chāh-e-zaqan  ulfat  se
muft  meñ  ham  ko  Dubotī  haiñ  hamārī  āñkheñ
shoḳhiyāñ  āhuoñ  kī  zehn  meñ  kab  aatī  haiñ
kuchh  dinoñ  ham  ne  bhī  dekhī  thiiñ  tumhārī  āñkheñ
qatra-e-āb  ko  muhtāj  kiyā  gardūñ  ne
yād-e-ayyām  ki  thiiñ  chashma-e-jārī  āñkheñ
duur  se  dekh  ke  tum  ko  koī  jī  bhartā  hai
kar  rahī  haiñ  faqat  ayyām-guzārī  āñkheñ
abr  ko  dekh  ke  har  martaba  josh  aatā  hai
ab  to  aa.iiñ  haiñ  mire  zabt  se  aarī  āñkheñ
jab  haTā  aa.ina  aage  se  huiiñ  kyā  bechain
apne  par  aap  hī  āshiq  haiñ  tumhārī  āñkheñ
lutf  dekhā  na  kisī  chiiz  kā  ashkoñ  ke  sivā
aa.iiñ  thiiñ  rone  ko  duniyā  meñ  hamārī  āñkheñ
kahtī  hai  bhar  ke  dam-e-sard  ḳhizāñ  meñ  bulbul
DhūñDhtī  haiñ  tujhe  ai  fasl-e-bahārī  āñkheñ
tum  ko  sharm  aatī  hai  ham  qābil-e-nazzāra  nahīñ
na  rahā  husn  tumhārā  na  hamārī  āñkheñ
kyuuñ  charāgāh-e-ġhazālāñ  na  kahūñ  palkoñ  ko
phir  rahī  haiñ  merī  nazroñ  meñ  tumhārī  āñkheñ
ro.uuñ  kis  vāste  gar  sāmne  aanā  chhoḌā
aap  ko  husn  hai  pyārā  mujhe  pyārī  āñkheñ
kor  ho  jā.ūñ  magar  ishq  meñ  rone  ko  na  rok
nāsehā  dil  se  ziyāda  nahīñ  pyārī  āñkheñ
saikḌoñ  shīsha-e-dil  bāda-kashoñ  ke  toḌe
mohtasib  se  haiñ  ziyāda  vo  ḳhumārī  āñkheñ
phuul  nargis  ke  gire  shāḳh  se  Daalī  jo  nazar
terī  āñkhoñ  kī  itā.at  meñ  haiñ  saarī  āñkheñ
farsh  ho  jaatī  haiñ  tum  paañv  jahāñ  rakhte  ho
adab-āmoz-e-mohabbat  haiñ  hamārī  āñkheñ
ba.ad  muddat  ke  zarā  hosh  meñ  aayā  huuñ  aaj
phir  dikhā  de  mujhe  saaqī  vo  ḳhumārī  āñkheñ
ashk-e-ḳhūnīñ  se  asīrī  meñ  uThā  lutf-e-bahār
hai  qafas  rashk-e-chaman  abar-e-bahārī  āñkheñ
kyā  kareñ  bazm-e-hasīnāñ  meñ  'ta.ashushuq'  jā  kar
na  rahīñ  qābil-e-nazzāra  hamārī  āñkheñ