Taashshuq Lakhnavi

mahfil se uThane ke saza-war hamin the

Taashshuq Lakhnavi

1824-1892
mahfil se uThāne ke sazā-vār hamīñ the
sab phuul tire baaġh the ik ḳhaar hamīñ the
ham kis ko dikhāte shab-e-furqat kī udāsī
sab ḳhvāb meñ the raat ko bedār hamīñ the
saudā tirī zulfoñ kā gayā saath hamāre
mar kar bhī na chhūTe vo giraftār hamīñ the
kal raat ko dekhā thā jise ḳhvāb meñ tum ne
ruḳhsār pe rakkhe hue ruḳhsār hamīñ the
dil-soḳhta the chāhne vāloñ meñ tumhāre
lekin sabab-e-garmī-e-bāzār hamīñ the
kal kūcha-e-qātil meñ jo thā ḳhalq kā majma.a
khaa.e hue us haath kī talvār hamīñ the
ai ishq-e-mizha kaun hameñ dekhne aatā
āñkhoñ meñ khaTakte the vo bīmār hamīñ the
turbat meñ bhī āñkheñ na huiiñ band hamārī
aise tire ik tālib-e-dīdār hamīñ the
ThanDe kiye ġhairoñ ke dil aur ham ko jalāyā
ik the to mohabbat ke gunahgār hamīñ the
milte hī lab-e-yār se lab dil nikal aayā
maarā jise iisā ne vo bīmār hamīñ the
tum ġhairoñ se Dar Dar ke lipaT jaate the paiham
kal raat ko nālāñ pas-e-dīvār hamīñ the
sab raaz ta.ashshuq'' se bayāñ hote the dil ke
pahle tire ik mahram-e-asrār hamīñ the
Top Urdushayar.com