mahfil  se  uThāne  ke  sazā-vār  hamīñ  the
sab  phuul  tire  baaġh  the  ik  ḳhaar  hamīñ  the
ham  kis  ko  dikhāte  shab-e-furqat  kī  udāsī
sab  ḳhvāb  meñ  the  raat  ko  bedār  hamīñ  the
saudā  tirī  zulfoñ  kā  gayā  saath  hamāre
mar  kar  bhī  na  chhūTe  vo  giraftār  hamīñ  the
kal  raat  ko  dekhā  thā  jise  ḳhvāb  meñ  tum  ne
ruḳhsār  pe  rakkhe  hue  ruḳhsār  hamīñ  the
dil-soḳhta  the  chāhne  vāloñ  meñ  tumhāre
lekin  sabab-e-garmī-e-bāzār  hamīñ  the
kal  kūcha-e-qātil  meñ  jo  thā  ḳhalq  kā  majma.a
khaa.e  hue  us  haath  kī  talvār  hamīñ  the
ai  ishq-e-mizha  kaun  hameñ  dekhne  aatā
āñkhoñ  meñ  khaTakte  the  vo  bīmār  hamīñ  the
turbat  meñ  bhī  āñkheñ  na  huiiñ  band  hamārī
aise  tire  ik  tālib-e-dīdār  hamīñ  the
ThanDe  kiye  ġhairoñ  ke  dil  aur  ham  ko  jalāyā
ik  the  to  mohabbat  ke  gunahgār  hamīñ  the
milte  hī  lab-e-yār  se  lab  dil  nikal  aayā
maarā  jise  iisā  ne  vo  bīmār  hamīñ  the
tum  ġhairoñ  se  Dar  Dar  ke  lipaT  jaate  the  paiham
kal  raat  ko  nālāñ  pas-e-dīvār  hamīñ  the
sab  raaz  ta.ashshuq''  se  bayāñ  hote  the  dil  ke
pahle  tire  ik  mahram-e-asrār  hamīñ  the