dil  jal  ke  rah  ga.e  zaqan-e-rashk-e-māh  par
is  qāfila  ko  pyaas  ne  maarā  hai  chaah  par
gesū  ko  naaz  hai  dil-e-raushan  kī  chaah  par
parvāna  ye  charāġh  hai  mār-e-siyāh  par
niiñd  uḌ  ga.ī  girāñ  hai  ye  shab  rashk-e-māh  par
bijlī  na  kyuuñ  falak  se  gire  merī  aah  par
hai  yaad  ḳhuftgān-e-zamīñ  kā  jo  ḳhatt-e-sabz
bhūle  se  maiñ  qadam  nahīñ  rakhtā  giyāh  par
luTtā  hai  ḳhāna-e-dil-e-āshiq  bachā.iye
bigḌī  huī  hai  fauj-e-mizha  kis  gunāh  par
tāsīr  kā  hai  ḳhauf  unheñ  ain  shauq  meñ
hai  dil  pe  haath  kaan  haiñ  āvāz-e-āh  par
mahshar  bapā  hai  band  haiñ  kushtoñ  ke  rāste
qad  baaḌh  par  hai  baaḌh  hai  teġh-e-nigāh  par
kyā  aadmī  kī  ḳhaak  ko  rauñdūñ  maiñ  rahm-dil
rotā  hai  pā.emāli-e-mardum-giyāh  par
kahte  ho  kis  ke  qalb  meñ  uThtā  hai  shab  ko  dard
rotā  hai  dil  mirā  mire  hāl-e-tabāh  par
āḳhir  talāsh-e-gor  huī  dil  ko  ishq  meñ
barsoñ  tabāh  ho  ke  ab  aayā  hai  raah  par
dil  ke  muāmle  meñ  na  ho  daḳhl  ġhair  ko
lenā  jo  ho  to  lījiye  apnī  nigāh  par
uupar  kī  saañs  lene  kā  āzār  ho  gayā
jis  kī  nazar  paḌī  tirī  tirchhī  nigāh  par
baḳhiya  jarāhat-e-dil-e-nāzuk-mizāj  kā
mauqūf  hai  huzūr  ke  tār-e-nigāh  par