muñh  jo  furqat  meñ  zard  rahtā  hai
kuchh  kaleje  meñ  dard  rahtā  hai
thī  kabhī  rashk-e-mahr  ke  āshiq
dhuup  kā  rañg  zard  rahtā  hai
kis  ke  sunte  ho  raat  ko  naale
kahte  ho  sar  meñ  dard  rahtā  hai
kabhī  pūchhā  na  mere  kūche  meñ
kaun  sahrā-navard  rahtā  hai
shor  hai  zard  aa.ī  hai  āñdhī
kyā  mirā  rañg  zard  rahtā  hai
yaad  aatī  haiñ  garmiyāñ  terī
dil  hamārā  bhī  sard  rahtā  hai
kahte  ho  tujh  ko  dekhte  haiñ  ham
banda  sahrā-navard  rahtā  hai
jis  taraf  baiThte  the  vasl  meñ  aap
usī  pahlū  meñ  dard  rahtā  hai
kahte  haiñ  dil  kī  choT  kā  hai  fasād
muñh  'ta.ashshūq'  jo  zard  rahtā  hai