chāñd  to  khil  uThā  sitāroñ  meñ
ham  sulagte  rahe  sharāroñ  meñ
dil-e-vahshat-zada  kā  haal  na  pūchh
phuul  murjhā  ga.e  bahāroñ  meñ
āñsuoñ  ke  charāġh  raushan  haiñ
dekh  phir  terī  rahguzāroñ  meñ
kā.enāt  aur  bhī  nikhar  jaa.e
rañg  bhar  do  agar  nazāroñ  meñ
phuul  khilte  haiñ  har  baras  un  par
dafn  hai  kaun  in  mazāroñ  meñ
mere  saare  ḳhulūs  kī  daulat
baañT  do  jā  ke  ġham  ke  māroñ  meñ
maiñ  to  raahī  huuñ  terī  manzil  kā
aur  tū  gum  hai  chāñd-tāroñ  meñ