sikhā.e vaqt ne atvār sad hazār mujhe
ki ab to choT bhī rahtī hai sāzgār mujhe
nikāl de mire dil se adā-o-nāz sabhī
bigaḌ gayā huuñ ġham-e-zindagī sañvār mujhe
maiñ tere paas ghaḌī do-ghaḌī kā mehmāñ huuñ
agarche vaqt kaḌā huuñ magar guzār mujhe
diyā jo haath mire haath meñ tū chupke se
thamā gayā hai koī dard be-shumār mujhe
yaqīñ bhī hai ki use lauT kar nahīñ aanā
magar hai shām-o-sahar phir bhī intizār mujhe
koī to hai pas-e-dīvār-o-dar nihāñ 'azmī'
pukārtā hai sar-e-shām baar baar mujhe