bujhā  chukī  hai  havā  jis  ko  vo  diyā  bhī  maiñ
magar  ye  dekh  bahut  der  tak  jalā  bhī  maiñ
tavīl  dhuup  kī  shiddat  havāoñ  kī  yūrish
sahī  bhī  maiñ  ne  sar-e-dasht-e-ġham  khilā  bhī  maiñ
mile  qayām  ke  ahkām  bhī  mujhī  ko  yahāñ
masāfatoñ  kā  parastār  ek  thā  bhī  maiñ
mire  nasīb  meñ  patjhaḌ  ke  rāstoñ  kā  safar
sadā-bahār  dayāroñ  se  āshnā  bhī  maiñ
mujhī  se  aa.ī  thī  milne  udaas  chāñdnī  raat
agar  ye  jāntā  hotā  to  jāgtā  bhī  maiñ
mirī  taraf  thiiñ  kabhī  bārisheñ  bhī  phūloñ  kī
hisār-e-sañg-o-sadā  meñ  ghirā  huā  bhī  maiñ
ye  sochtā  huuñ  kahūñ  ḳhud  ko  'qāsmī'!  maiñ  kyaa?
sukūt  bhī  mire  andar  bahut  sadā  bhī  maiñ