paas  aa  kar  chalā  gayā  koī
hañste  hañste  rulā  gayā  koī
dil  kī  duniyā  meñ  aa  gayā  koī
dard  ban  kar  samā  gayā  koī
yuuñ  bahār  aa.ī  aur  chalī  bhī  ga.ī
jaise  aa  kar  chalā  gayā  koī
dard-e-ulfat  se  āshnā  kar  ke
mujh  se  āñkheñ  churā  gayā  koī
phir  nazar  meñ  bahār  raqsāñ  hai
phir  tasavvur  pe  chhā  gayā  koī
haa.e  re  merī  nīm-bedārī
aate  aate  chalā  gayā  koī
rāz-e-ulfat  na  chhup  sakā  'nayyar'
āñkhoñ  āñkhoñ  meñ  pā  gayā  koī