Farhan Salim

tu meri ibtida tu meri intiha main samundar hun tu sahilon ki hawa

Farhan Salim

Rampur, Uttar pradesh, India

tū mirī ibtidā tū mirī intihā maiñ samundar huuñ tū sāhiloñ kī havā
terī manzil bane merā har rāstā maiñ samundar huuñ tū sāhiloñ kī havā
roz-o-shab mauj-dar-mauj huuñ dar-ba-dar roz-o-shab sāhiloñ par paTaktā huuñ sar
haath aatā nahīñ phir bhī dāman tirā maiñ samundar huuñ tū sāhiloñ kī havā
merī shorīdgī ke ye tūfān sab merī ḳhāmoshiyoñ ke ye armān sab
kuchh nahīñ ik tirī aarzū ke sivā maiñ samundar huuñ tū sāhiloñ kī havā
tū hī manzil mirī tū hī had hai mirī tujh se vābastagī nām-zad hai mirī
tū na ho gar to maiñ ḳhud meñ kho jā.ūñgā maiñ samundar huuñ tū sāhiloñ kī havā
ḳhushbuoñ se tirī ye mahaktā safar yuuñ hī jaarī rahegā mire auj par
tū masāfat mirī maiñ tirā rāstā maiñ samundar huuñ tū sāhiloñ kī havā
Top Urdushayar.com