tū  mirī  ibtidā  tū  mirī  intihā  maiñ  samundar  huuñ  tū  sāhiloñ  kī  havā
terī  manzil  bane  merā  har  rāstā  maiñ  samundar  huuñ  tū  sāhiloñ  kī  havā
roz-o-shab  mauj-dar-mauj  huuñ  dar-ba-dar  roz-o-shab  sāhiloñ  par  paTaktā  huuñ  sar
haath  aatā  nahīñ  phir  bhī  dāman  tirā  maiñ  samundar  huuñ  tū  sāhiloñ  kī  havā
merī  shorīdgī  ke  ye  tūfān  sab  merī  ḳhāmoshiyoñ  ke  ye  armān  sab
kuchh  nahīñ  ik  tirī  aarzū  ke  sivā  maiñ  samundar  huuñ  tū  sāhiloñ  kī  havā
tū  hī  manzil  mirī  tū  hī  had  hai  mirī  tujh  se  vābastagī  nām-zad  hai  mirī
tū  na  ho  gar  to  maiñ  ḳhud  meñ  kho  jā.ūñgā  maiñ  samundar  huuñ  tū  sāhiloñ  kī  havā
ḳhushbuoñ  se  tirī  ye  mahaktā  safar  yuuñ  hī  jaarī  rahegā  mire  auj  par
tū  masāfat  mirī  maiñ  tirā  rāstā  maiñ  samundar  huuñ  tū  sāhiloñ  kī  havā