Qaisar Nizami

aalam-e-imkan mein duniya ki hawa thi main na tha

Qaisar Nizami

Delhi, India

ālam-e-imkāñ meñ duniyā kī havā thī maiñ na thā
jalvā-ārā sirf zāt-e-kibriyā thī maiñ na thā
kar diyā bedār jis ne sākinān-e-arsh ko
vo kisī dard-āshnā dil kī sadā thī maiñ na thā
muntashir jis ne kiyā thā un kī zulf-e-nāz ko
sach agar pūchho to vo bād-e-sabā thī maiñ na thā
khul gayā jo rāz-e-ulfat aaj ahl-e-bazm par
ye tumhārī mast nazroñ kī ḳhatā thī maiñ na thā
tañg aa kar gardish-e-ayyām se bahr-e-sujūd
vo to merī zindagī vaqf-e-duā thī maiñ na thā
had se jab 'qaisar' baḌhī un kī jafā-e-nā-ravā
jo ba-rū-e-kār aa.ī vo vafā thī maiñ na thā
Top Urdushayar.com