ye  kyā  huā  ki  sabhī  ab  to  daaġh  jalne  lage
havā  chalī  to  lahū  meñ  charāġh  jalne  lage
miTā  gayā  thā  lahū  ke  sabhī  nishāñ  qātil
magar  jo  shaam  Dhalī  sab  charāġh  jalne  lage
ik  aisī  fasl  utarne  ko  hai  gulistāñ  meñ
zamāna  dekhe  ki  phūloñ  se  baaġh  jalne  lage
nigāh-e-tā.ir-e-zindāñ  uThī  thī  ghar  kī  taraf
ki  soz-e-ātash-e-giryāñ  se  daaġh  jalne  lage
ab  us  maqām  pe  hai  mausamoñ  kā  sard  mizāj
ki  dil  sulagne  lage  aur  dimāġh  jalne  lage
ab  aa  bhī  jā  ki  yuuñ  hī  duur  duur  rahne  se
ye  mere  hoñT  vo  tere  ayāġh  jalne  lage
nahā  ke  nahr  se  'sālim'  parī  vo  kyā  niklī
ki  tāb-e-husn  se  ḳhud  astabāġh  jalne  lage