Nooh Narvi

agar us ka mera jhagDa yahin tai ho to achchha ho

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
agar us kā mirā jhagḌā yahīñ tai ho to achchhā ho
ḳhudā jaane ḳhudā ke sāmne kal kyā na ho kyā ho
guzartī hai bashar kī zindagī kis vahm-e-bātil meñ
jo aisā ho to aisā ho jo aisā ho to aisā ho
shab-e-ḳhalvat ye kahnā baar baar us kā banāvaT se
hameñ chheḌe to ġhārat ho hameñ dekhe to andhā ho
vo har dam kī ayādat se mirī ghabrā ke kahte haiñ
ġhazab meñ jaan hai apnī na mar jaa.e na achchhā ho
vo farmāte haiñ mujh ko dekh kar maiñ yuuñ na mānūñgā
agar ye 'nūh' hai tūfān uThā.e ġharq-e-duniyā ho
Top Urdushayar.com