Nooh Narvi

mana ki mera dil bhi jigar bhi hai koi chiz

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
maanā ki mirā dil bhī jigar bhī hai koī chiiz
lekin vo nazar tīr-e-nazar bhī hai koī chiiz
mumkin nahīñ vo chāhne vāloñ ko na chāheñ
iḳhlās-o-mohabbat kā asar bhī hai koī chiiz
luT jaa.e ki rah jaa.e rah-e-ishq-o-vafā meñ
dil bhī hai koī maal jigar bhī hai koī chiiz
un se jo na uTThā thā use is ne uThāyā
qaa.il haiñ malā.ek ki bashar bhī hai koī chiiz
chhupne ke liye shauq se parde meñ chhupeñ aap
itnā rahe ma.alūm nazar bhī hai koī chiiz
ye kasrat-e-āzār-o-ġham-o-rañj kahāñ tak
ai shaam shab-e-hijr-e-sahar bhī hai koī chiiz
kahte ho ham ā.eñge magar zulm kareñge
socho tum agar to ye magar bhī hai koī chiiz
baaqī na rahī nāvak-e-dil-doz kī hājat
zālim tirī sīdhī sī nazar bhī hai koī chiiz
naale se kahūñgā ki pahuñch arsh-e-barīñ tak
ab tez musāfir ye safar bhī hai koī chiiz
betāb udhar aap pareshān idhar ham
aapas kī mohabbat kā asar bhī hai koī chiiz
chaltī huī mere dil-e-betāb ko le kar
lākhoñ meñ vo duzdīda nazar bhī hai koī chiiz
be-kār na jā.egā mire dil kā taḌapnā
naala hai koī shai to asar bhī hai koī chiiz
āñkhoñ ke liye zauq-e-nazar bhī hai koī baat
pahlū ke liye dard-e-jigar bhī hai koī chiiz
allāh re tire husn-e-ziyā-bār kā jalva
ye pesh-e-nazar ho to nazar bhī hai koī chiiz
ai 'nūh' shab-e-māh meñ paas us ko biThā kar
kahtā huuñ mirā rashk-e-qamar bhī hai koī chiiz
Top Urdushayar.com