Nooh Narvi

koi nahin pachhtane wala

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962

koī nahīñ pachhtāne vaalā

mar jaa.e mar jaane vaalā

mahfil meñ aa.egā kyuuñ kar

ḳhalvat meñ sharmāne vaalā

maiñ rokūñ lekin kyā rokūñ

jā.egā ghar jaane vaalā

shukr ḳhudā ham karte haiñ

kaam aayā kaam aane vaalā

sabr mirā bekār na jaa.e

taḌpe vo taḌpāne vaalā

apnā dil bahlāūñ kis se

hai kaun aane jaane vaalā

vo na mileñ mujh ko mil jaa.e

koī bahlāne vaalā

dil vo shai hai jis shākī

khone vaalā paane vaalā

lutf-o-karam farmātā jaa.e

lutf-o-karam farmāne vaalā

sab se mushkil baat yahī hai

zinda ho mar jaane vaalā

kyā samjhe asrār-e-mohabbat

dil de kar pachhtāne vaalā

phūloñ murjhānā dekhe

kaliyoñ par itrāne vaalā

jaan mirī hai jaane vaalī

dil hai un par aane vaalā

maiñ huuñ merā dil hai

roz nayā ġham paane vaalā

'nūh' mohabbat duniyā meñ

hai tūfān uThāne vaalā

Top Urdushayar.com