Nooh Narvi

bahr-e-gham mein dil ka qarina

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
bahr-e-ġham meñ dil kā qarīna
lākhoñ maujeñ ek safīna
TuuTā hai dil shaq hai siina
dekh kar us zālim kā qarīna
bhiig ga.ī duniyā-e-mohabbat
aayā thā kuchh mujh ko pasīna
shāḳheñ phūTīñ kaliyāñ chaTkīñ
aa pahuñchā phāgun kā mahīna
haal bhī merā aap na pūchheñ
itnī ranjish itnā kiina
mar jaanā takmīl-e-vafā meñ
hai me.arāj kā pahlā ziina
merī gardan terā ḳhanjar
terī barchhī merā siina
barq balā yā barq adā ho
donoñ kā hai ek qarīna
kyā ho sukūñ ai bahr-e-mohabbat
sāhil se hai duur safīna
jaltā huuñ terī mahfil meñ
jannat meñ dozaḳh kā qarīna
hijr kā aalam yaad hai mujh ko
ik ik din ek ek mahīna
maut kī saḳhtī maiñ ne samjhī
māthe par niklā jo pasīna
sham.a ke dam se bazm munavvar
kahne ko mehmān-e-shabīna
koī jābir koī sābir
ik merā ik un kā qarīna
hil jaao bhī khul khelo bhī
achchhā din achchhā hai mahīna
unheñ mere dil se umañgeñ
ġharq kiyā maujoñ ne safīna
dil ko fuġhāñ pahuñchā.e falak tak
nīchī chhat hai ūñchā ziina
phir uThā tūfān-e-mohabbat
'nūh' kareñ tayyār safīna
Top Urdushayar.com