Nooh Narvi

gulzar mein ye kahti hai bulbul gul-e-tar se

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962

gulzār meñ ye kahtī hai bulbul gul-e-tar se

dekhe koī ma.ashūq ko āshiq nazar se

lo aur suno kahte haiñ vo ham se bigaḌ kar

dekho hameñ dekho na mohabbat nazar se

vo uTThī vo aa.ī vo ghaTā chhā ga.ī saaqī

mai-ḳhāne pe allāh kare TuuT ke barse

mai-ḳhāne pe ghanghor ghaTā chhā.ī hai be-kār

khulnā ho to khul jaa.e barasnā ho to barse

kyā ishq hai kyā shauq hai kyā rashk hai kyā laag

dil jalva-gāh-e-nāz meñ aage hai nazar se

is ḳhauf se mil lete haiñ vo 'nūh' se akasr

tūfāñ na uThā.e kahīñ ye dīda-e-tar se

Top Urdushayar.com