hukūmat  hai  na  shaukat  hai  na  izzat  hai  na  daulat  hai
hamāre  paas  ab  le-de  ke  baaqī  bas  saqāfat  hai
gine  jaate  haiñ  jo  dahlīz  ke  bujhte  charāġhoñ  meñ
unheñ  aivān  kī  mehrāb  meñ  jalne  kī  aadat  hai
chalo  ḳhairāt  na  miltī  koī  khiḌkī  hī  khul  jaatī
faqīroñ  ko  mohalle  se  bas  itnī  sī  shikāyat  hai
bharam  donoñ  kā  qaa.em  hai  adā-e-be-niyāzī  se
zamāna  pūchhtā  kab  hai  hamārī  kyā  zarūrat  hai
kisī  manzil  pe  ham  ko  mustaqil  rahne  nahīñ  detā
na  jaane  vaqt  ko  ham  be-gharoñ  se  kyā  shikāyat  hai
zabāñ-bandī  to  pahle  thī  ba-hukm-e-sāhib-e-ālam
nigāhoñ  ko  bhī  ab  ḳhāmosh  rahne  kī  hidāyat  hai