log  is  Dhab  se  qasīde  meñ  utar  bāñdhte  haiñ
sāhab-e-sadr  ke  aiboñ  ko  hunar  bāñdhte  haiñ
ham  tire  shahr  kā  jab  azm-e-safar  bāñdhte  haiñ
ādatan  kāñdhoñ  pe  apne  ka.ī  sar  bāñdhte  haiñ
sūkhī  shāḳhoñ  pe  na.e  barg-o-samar  bāñdhte  haiñ
qāfiya  jab  bhī  nayā  ahl-e-hunar  bāñdhte  haiñ
in  muñDeroñ  ke  charāġhoñ  kī  ajab  qismat  hai
jis  meñ  ahbāb  havāoñ  kā  guzar  bāñdhte  haiñ
maiñ  ise  le  ke  khaḌā  huuñ  to  nahīñ  koī  harīf
kis  ke  hone  kā  fusūñ  sho.abda-gar  bāñdhte  haiñ
vo  jo  vāqif  nahīñ  tahzīb-e-zabāñ-dānī  se
apnī  dastār  meñ  ab  vo  bhī  guhar  bāñdhte  haiñ
ik  ġhazal  aisī  ki  kāġhaz  ko  bhigo  detī  hai
is  meñ  ham  qāfiya-e-dīda-e-tar  bāñdhte  haiñ
in  se  hushiyār  na.ī  tarz  ke  jādūgar  haiñ
kis  safā.ī  se  ye  logoñ  kī  nazar  bāñdhte  haiñ
ham  haiñ  ma.azūr-e-nazar,  pul  tirī  tārīfoñ  ke
ā.ina-ḳhāne  ke  arbāb  magar  bāñdhte  haiñ