Mukhtar Shameem

subh rangin-o-jawan sham suhani mange

Mukhtar Shameem

Sironj, Madhya Pradesh, India

1945

sub.h rañgīn-o-javāñ shaam suhānī māñge

dil-e-betāb ki terī kahānī māñge

koī dekhe ye mirā ālam-e-jaulānī-e-tab.a

jis tarah āb-e-ravāñ aap ravānī māñge

ḳhūgar-e-aish nahīñ fitrat-e-shorīda-sarāñ

ġham-o-andoh-talab soz-e-nihānī māñge

dasht-e-ġhurbat meñ un āñkhoñ namī yaad aa.e

tishna-lab jaise koī sahrā se paanī māñge

shūmī-e-zīst ki ye aaj zuleḳhā tarah

kāsa-e-umr meñ lamhāt-e-javānī māñge

apne ḳhvāboñ pe hai sharminda shab-e-ġham-dīda

sub.h-e-ma.asūm usī shab kahānī māñge

ġhuncha-e-shauq 'shamīm' aaj khilā hai shāyad

dil-e-vahshat-zada ḳhūñ-nāba-fashānī māñge

Top Urdushayar.com