maiñ  tire  sañg  kaise  chalūñ  ham-safar  tū  samundar  hai  maiñ  sāhiloñ  kī  havā
tū  kahāñ  maiñ  kahāñ  al-amāñ  al-hazar  tū  samundar  hai  maiñ  sāhiloñ  kī  havā
tujh  se  hai  sab  ye  husn-e-jahāñ  mo'tabar  tujh  ko  sajde  kare  kahkashāñ  sar  ba-sar
tū  harīm-e-qamar  maiñ  hazīn-e-sahar  tū  samundar  hai  maiñ  sāhiloñ  kī  havā
gaah  shorīda-sar  gaah  ḳhāmosh-tar  tujh  meñ  poshīda  haiñ  raaz  sab  basta-sar
tere  lāl-o-gohar  aur  maiñ  ḳhāk-sar  tū  samundar  hai  maiñ  sāhiloñ  kī  havā
tū  bahāroñ  kī  jā  tū  libās-e-shajar  maiñ  ḳhizāñ  kī  sadā  maiñ  ġhubār-e-safar
tū  numūd-e-matar  maiñ  hadīs-e-digar  tū  samundar  hai  maiñ  sāhiloñ  kī  havā
vus.at-e-be-karāñ  maḳhzan-e-sīm-o-zar  be-had-o-be-nishāñ  terī  har  rah-guzar
tū  ba-hadd-e-nazar  maiñ  kanār-e-safar  tū  samundar  hai  maiñ  sāhiloñ  kī  havā