Shobha Kukkal

jo sajta hai kalai par koi zewar hasinon ki

Shobha Kukkal

jo sajtā hai kalā.ī par koī zevar hasīnoñ

tabhī baḌhtī haiñ qīmat jauharī tere nagīnoñ

uThā detī hai dīvāreñ diloñ ke biich ye akasr

zarūrat kyuuñ ho phir ham ko bhalā aisī zamīnoñ

usī meñ chhed karte haiñ ki jis thālī meñ khāte haiñ

badal saktī nahīñ aadat kabhī aisī kamīnoñ

bharā hai laakh phūloñ se mire ghar hasīñ āñgan

yahī hai merī daulat mujh ko kyā chāhat dafīnoñ

kabhī mehnat mashaqqat se kamā loge bahut daulat

magar badloge tum kaise lakīroñ ko jabīnoñ

uThā kar ek baar un ko lagā lo apne hoñToñ se

chueñgī āsmāñ ko qīmateñ un ābgīnoñ

jo nukta-chīñ haiñ rahnā hai hamesha nukta-chīñ un ko

badal saktī nahīñ fitrat kabhī bhī nukta-chīnoñ

Top Urdushayar.com