ye  kah  kah  ke  ham  dil  ko  bahlā  rahe  haiñ
mulāqāt  ke  din  qarīb  aa  rahe  haiñ
vo  gulshan  meñ  yuuñ  sair  farmā  rahe  haiñ
idhar  aa  rahe  haiñ  udhar  jā  rahe  haiñ
saroñ  par  masā.ib  bhī  mañDlā  raheñ  haiñ
magar  giit  ḳhushiyoñ  ke  ham  gā  rahe  haiñ
samajhne  ko  koī  bhī  raazī  nahīñ  hai
hamīñ  dil  to  ham  dil  ko  samjhā  rahe  haiñ
sulajhtī  nahīñ  zulf  bhī  jin  se  apnī
masā.il  zamāne  ke  suljhā  rahe  haiñ
na  ahl-e-siyāsat  kī  chāloñ  meñ  aanā
vo  jaal  apnā  har  or  phailā  rahe  haiñ
jinheñ  tum  ne  Thukrā  diyā  thā  kisī  din
abhī  tak  vo  zaḳhmoñ  kā  sahlā  rahe  haiñ