bāteñ  karne  meñ  to  duniyā  meñ  sabhī  hoshyār  the
saath  dete  mushkiloñ  meñ  vo  to  bas  do-chār  the
ham  se  jo  karte  rahe  va.ade  hamesha  be-shumār
vaqt  paḌne  par  mukarne  ko  sadā  tayār  the
zindagī  ne  ham  ko  dī  haiñ  nemateñ  yuuñ  to  bahut
un  kā  sadupyog  karne  se  hamīñ  lāchār  the
log  jo  apne  farā.ez  se  rahe  ġhāfil  sadā
māñgte  phir  kis  liye  apne  sabhī  adhikār  the
dete  rahte  the  duhā.ī  jo  hamesha  pyaar  kī
pyaar  kī  rāhoñ  meñ  vo  ban  kar  khaḌe  dīvār  the
vaqt-e-āḳhir  koī  aatā  hai  kisī  ke  kaam  kab
kaam  aa.e  jo  mire  vo  mere  hī  upkār  the
haiñ  ajab  dastūr  mere  desh  meñ  ye  in  dinoñ
ghar  meñ  chorī  jo  kareñ  vo  ghar  ke  pahre-dār  the