tire  āñgan  meñ  hai  jo  peḌ  phūloñ  se  ladā  hogā
tire  ghar  kā  jo  rasta  hai  baḌā  hī  ḳhushnumā  hogā
gavārā  kab  mujhe  hogā  kisī  ehsās  kā  Dhonā
hai  qarzā  is  janam  kā  is  janam  meñ  hī  adā  hogā
na  jaane  kab  mire  bhārat  meñ  vo  sarkār  aa.egī
ki  jis  sarkār  ke  hāthoñ  ġharīboñ  kā  bhalā  hogā
vo  lamhe  zindagī  ke  jo  tire  ham-rāh  guzre  haiñ
unhīñ  kī  yaad  se  jīvan  baḌā  zā.iqa  hogā
jo  dard-e-dil  atā  kartā  hai  sab  ko  us  se  pūchheñge
davā-e-dard-e-dil  bhī  koī  āḳhir  bechtā  hogā
charāġh-e-dil  jalā  rakkhā  thā  āb-o-tāb  se  ham  ne
havā-e-ġham  chalī  hogī  tabhī  to  ye  bujhā  hogā