kaaTe  haiñ  din  hayāt  ke  lāchār  kī  tarah
kahne  ko  zindagī  hai  ye  gulzār  kī  tarah
ma.alūm  hī  na  thiiñ  unheñ  kuchh  apnī  qīmateñ
ahl-e-qalam  bike  yahāñ  aḳhbār  kī  tarah
taqrīr  us  ne  kī  thī  hamāre  ḳhilāf  jo
har  lafz  chubh  rahā  hai  hameñ  ḳhaar  kī  tarah
kyā  tum  pe  e'tibār  kareñ  tum  hī  kuchh  kaho
qaul-o-qarār  karte  ho  sarkār  kī  tarah
niklegī  kaise  koī  mulāqāt  kī  sabīl
duniyā  khaḌī  hai  raah  meñ  dīvār  kī  tarah
dīvār-o-dar  pe  'kirishnā'  kī  liilā  ke  naqsh  hai
mandir  hai  ye  to  'krishn'  ke  darbār  kī  tarah
ġhairat  hameñ  aziiz  hai  ġhairat  se  ham  jiye
pahnī  hai  ham  ne  sar  pe  ye  dastār  kī  tarah
ai  'shobhā'  dekh  un  kī  zarā  ḳhush-libāsiyāñ
nikle  haiñ  ban  ke  vo  kisī  gulzār  kī  tarah