Shafeeq Abbas

ab aaftab-e-munawwar pe qurb-e-sham hua

Shafeeq Abbas

ab āftāb-e-munavvar pe qurb-e-shām huā

ik aur saal mirī umr tamām huā

ragoñ meñ gardish-e-ḳhūñ ġhulām Thahrā hai

na us badan kabhī mujh se ehtirām huā

mire chahār-taraf hai hisār-e-maharūmī

tamām-umr kaTī aur na koī kaam huā

koī zamīn na daldal na āsmān hai ab

kahāñ pahuñch ke mirī rah iḳhtitām huā

ajab latīf tezābiyat thī lahje meñ

baḌe ḳhulūs se jis dam vo ham-kalām huā

sunā hai raat farishte chhupe the ma.abad meñ

hamāre shahar meñ phir aaj qatl-e-ām huā

hazār qatl ke badle meñ ye sa.ādat hai

ki ek shaḳhs kisī qaum imaam huā

Top Urdushayar.com