ḳhud  apne  aap  pe  aise  atā  huā  huuñ  maiñ
sadī  ke  sab  se  baḌe  jurm  kī  sazā  huuñ  maiñ
lahūluhān  hai  chehra  vajūd  chhalnī  hai
sadī  jo  biit  ga.ī  us  kā  aa.ina  huuñ  maiñ
ajiib  ālam-e-āh-o-bukā  hai  merā  vajūd
taḌapte  chīḳhte  lamhoñ  kā  marsiya  huuñ  maiñ
ajiib  sā  mire  siine  meñ  ik  talātum  hai
ki  mauj  mauj  samundar  banā  huā  huuñ  maiñ
kabhī  to  vaqt  kī  sarhad  ke  paar  utrūñgā
ki  buuñd  buuñd  samundar  ko  pī  rahā  huuñ  maiñ
'shafīq'  ab  koī  ehsās  kyā  jhiñjhoḌegā
nigah  se  girte  hī  patthar  kā  ho  gayā  huuñ  maiñ