kyā  batā.eñ  aap  se  kyā  hastī-e-insān  hai
aadmī  jazbāt-o-ehsāsāt  kā  tūfān  hai
ishtirākiyyat  mirā  diin  aur  mirā  īmān  hai
kaash  motor  le  sakūñ  maiñ  ye  mirā  armān  hai
aah  is  dānish-kade  meñ  kis  qadar  hai  qaht-e-husn
jab  se  aayā  huuñ  yahāñ  bazm-e-nazar  vīrān  hai
ye  kitābeñ  har  taraf  hoñ  yā  butān-e-muntaḳhab
barguzīda  hastiyoñ  kā  ek  hī  armān  hai
fikr  kī  duniyā  meñ  columbus  banā  phirtā  huuñ  maiñ
ilm  kī  pahnā.ī  kā  kitnā  baḌā  faizān  hai
aaj  america  meñ  kal  london  meñ  parsoñ  ruus  meñ
aadmī  kī  sar-bulandī  kī  yahī  pahchān  hai
is  qadar  khaa.e  haiñ  yāroñ  ke  bichhaḌ  jaane  ke  daaġh
dil  nahīñ  ab  ek  ḳhākistar-shuda  shamshān  hai
jaise  jaise  baḌh  rahā  hai  merā  ohda  dostoñ
vaise  vaise  ruuh  merī  aur  bhī  vīrān  hai
laḌkhaḌātā  Thokareñ  khātā  kidhar  jaatā  huuñ  maiñ
hai  añdherā  ghup  fazā  aur  dil-e-sunsān  hai