kamāñ  na  tiir  na  talvār  apnī  hotī  hai
magar  ye  duniyā  ki  har  baar  apnī  hotī  hai
yahī  sikhāyā  hai  ham  ko  hamāre  logoñ  ne
jo  jañg  jiite  vo  talvār  apnī  hotī  hai
zabān  chiḌiyoñ  kī  duniyā  samajh  nahīñ  saktī
qubūl-o-rad  kī  ye  takrār  apnī  hotī  hai
na  haath  suukh  ke  jhaḌte  haiñ  jism  se  apne
na  shāḳh  koī  samar-bār  apnī  hotī  hai
jo  haath  aa.e  use  rauñd  kar  chalā  jaa.e
guzarte  vaqt  kī  raftār  apnī  hotī  hai
jagah  jagah  se  nivāle  uThāne  paḌte  haiñ
talāsh-e-rizq  kī  begār  apnī  hotī  hai