udaas  shaam  meñ  pazhmurda  baad  ban  ke  na  aa
jo  aa  sake  to  ḳhud  aa  apnī  yaad  ban  ke  na  aa
kabhī  sahar  bhī  to  ban  ai  visāl  ke  mausam
sadā  yuuñ  hī  shab-e-marg-e-murād  ban  ke  na  aa
tujhe  tire  mah  o  anjum  kā  vāsta  ai  raat
mire  in  ujle  daroñ  par  savād  ban  ke  na  aa
kitāb-e-zīst  ḳhudā-rā  koī  ġhazal  bhī  sunā
shikast-e-jāñ  kī  faqat  rūedād  ban  ke  na  aa
bhalī  lage  to  ise  gungunā  bhī  ai  lab-e-yār
mirī  ġhazal  pe  faqat  harf-e-dād  ban  ke  na  aa
utar  zarūr  magar  aah  sub.h-e-āzādī
kisī  zamīn  pe  vaj.h-e-fasād  ban  ke  na  aa