Hirman Khairabadi

bina-e-sajda hun sajde ki ibtida hun main

Hirman Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

binā-e-sajda huuñ sajde kī ibtidā huuñ maiñ
jo ḳhud-numā haiñ vo dekheñ ḳhudā-numā huuñ maiñ
mirā vajūd hai elān-e-kalima-e-tauhīd
jahāñ meñ ġhaib se aa.ī huī nidā huuñ maiñ
mujhe sulā.egī ab kyā havā-e-ḳhvāb-e-fanā
ziyā-e-husn se bedār ho chukā huuñ maiñ
ajal kā kaam nahīñ merī hall-e-mushkil meñ
ki manzil-e-ġham-e-hastī se baḌh gayā huuñ maiñ
kashish mirī yahīñ manzil ko khīñch lā.egī
yahī to naaz hai mujh ko shikasta-pā huuñ maiñ
jabīn-e-shauq ko kyā imtiyāz-e-dair-o-haram
kise ḳhabar hai ki kis dar pe jibah-sā huuñ maiñ
kisī kī lauh-e-jabīñ par shikan ye kahtī hai
ki be-ḳhudī meñ koī raaz kah gayā huuñ maiñ
bas ai talātum-e-tūfān-e-ārzū bas kar
ki ab tabāh safīne kā nāḳhudā huuñ maiñ
ma.āl-e-kashmakash-e-dard kuchh huā 'hirmāñ'
sunā hai maut kī ik niiñd le rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com