zabt  ne  bhīñchā  to  a.asāb  kī  chīḳheñ  niklīñ
hausla  TuuTā  to  ahbāb  kī  chīḳheñ  niklīñ
vahshateñ  aisī  alamnāk  natā.ej  meñ  milīñ
jin  ke  imkān  pe  asbāb  kī  chīḳheñ  niklīñ
us  se  fir.aun  ke  aḳhlāq  ne  māñgī  hai  panāh
us  se  shaddād  ke  ādāb  kī  chīḳheñ  niklīñ
Dūbne  vaale  ne  kis  ishq  se  tan  pesh  kiyā
shiddat-e-vasl  se  girdāb  kī  chīḳheñ  niklīñ
aise  guftār  ne  kirdār  kī  ḳhil.at  nochī
māthe  likkhe  hue  alqāb  kī  chīḳheñ  niklīñ
jo  na  laa.ī  ga.ī  us  taab  kī  chīḳheñ  niklīñ
muñh  pe  paḌte  hue  tezāb  kī  chīḳheñ  niklīñ
lafz  ubhre  to  samāvāt  ke  kañgare  Dole
aur  jab  Duube  to  mehrāb  kī  chīḳheñ  niklīñ