le  chale  ho  to  kahīñ  duur  hī  le  jaanā  mujhe
mat  kisī  bisrī  huī  yaad  se  Takrānā  mujhe
maiñ  to  is  meñ  bhī  bahut  ḳhush  huuñ  tirā  naam  to  hai
ek  jur.a  bhī  tire  naam  kā  mai-ḳhāna  mujhe
aaj  dānista  taġhāful  se  huuñ  haarā  huā  maiñ
kal  talak  umr  kī  sachchā.ī  thī  afsāna  mujhe
tū  ne  bhī  maan  liyā  logoñ  kā  phailāyā  sach
tū  ne  bhī  jaate  hue  lauT  ke  dekhā  na  mujhe
ilm  ke  taur  pe  sīkhe  haiñ  mohabbat  ke  rumūz
tum  binā  soche  hī  kah  jaate  ho  dīvāna  mujhe
aa  mirī  jaan  ke  dushman  tirī  tādīb  karūñ
terā  har  vaar  lagā  ġhair  dilerāna  mujhe
ab  mujhe  tū  hī  batā  donoñ  meñ  kyuuñ  tujh  ko  chunūñ
tū  ne  rakkhā  na  mujhe  dard  ne  chhoḌā  na  mujhe