pahle  to  aatī  thiiñ  ii.deñ  bhī  tumhāre  aa.e
ḳhairiyat  ab  ke  tum  aa.e  to  akele  aa.e
terī  be-sāḳhta  hairānī  kahāñ  hai  ai  dost
ham  to  ātish  kahīñ  īñdhan  ke  evaz  de  aa.e
ab  to  rahzan  hī  koī  roke  to  mālūm  paḌe
rahnumā  kaise  ujāḌoñ  meñ  hameñ  le  aa.e
ham  to  yak-rañg  ujāle  se  hī  mas.hūr  rahe
raushnī  tujh  meñ  ye  sat-rañg  kahāñ  se  aa.e
ham  ne  bechī  thiiñ  jahāñ  nīndeñ  usī  manDī  se
terī  āñkhoñ  ke  liye  ḳhvāb  suhāne  aa.e