nashāt-e-nau  kī  talab  hai  na  taaza  ġham  kā  jigar
sukūñ-girafta  ko  kaise  ho  zer-o-bam  kā  jigar
agarche  tishna-nigāhī  misāl-e-sahrā  hai
nahīñ  hai  dast-e-duā  ko  tire  karam  kā  jigar
jigar  ko  ishq  ne  faulād  kar  diyā  hai  jab
nahīñ  rahā  hai  sitam-kār  ko  sitam  kā  jigar
hai  iztirāb-e-jigar  lahr  lahr  par  bhārī
kahāñ  hai  bahr  ko  is  tarah  pech-o-ḳham  kā  jigar
ye  kaam  top  tapanche  ke  dā.ere  kā  nahīñ
futūh-e-fikr-o-nazar  to  hai  bas  qalam  kā  jigar
hamāre  māthe  meñ  rakh  dī  hai  daas  kī  sī  sarisht
use  ḳhudā  ne  diyā  hai  kisī  sanam  kā  jigar
hamārī  chaah  meñ  roī  hai  zindagī  itnā
ki  paanī  paanī  huā  jā  rahā  hai  sam  kā  jigar
jigar  kā  dam  hai  ki  gard-e-zamīñ  se  TūTtā  hai
agarche  toḌ  na  paayā  falak  bhī  dam  kā  jigar
bas  'āzam'  aaj  to  had  hī  ḳhumār  ne  kar  dī
kahīñ  se  ghol  ke  le  aao  tair-e-ram  kā  jigar