har  rāhat-e-jāñ  lamhe  se  uftād  kī  zid  hai
bedād  zamāna  bhī  kisī  daad  kī  zid  hai
har  ḳhair  kisī  shar  se  baqā-yāb  huī  hai
ye  hsun-e-ta.adul  bhī  to  azdād  kī  zid  hai
ab  āñkheñ  bhalā  kis  tarah  taqsīm  kare  maañ
dīvāreñ  khaḌī  karnā  to  aulād  kī  zid  hai
girya  nahīñ  ma.aqūl  ba-yād-e-kas-e-rafta
lekin  ye  tamāshā  dil-e-nāshād  kī  zid  hai
maiñ  rāsta  bhūlā  huā  pyāda  huuñ  mujhe  kyā
rahbar  ko  agar  jāda-e-barbād  kī  zid  hai
maiñ  ḳhud  se  nibhāne  kā  ravādār  nahīñ  thā
ye  pahlī  mohabbat  mire  ham-zād  kī  zid  hai
haiñ  fikr  ke  āsār  ḳhudāoñ  kī  jabīñ  par
ik  abd-e-ziyāñ-kār  ko  ilhād  kī  zid  hai