haar  ko  jiit  ke  imkān  se  bāñdhe  hue  rakh
apnī  mushkil  kisī  āsān  se  bāñdhe  hue  rakh
tujh  ko  ma.alūm  se  aage  kahīñ  jaanā  hai  to  phir
ḳhvāb  ko  dīda-e-hairān  se  bāñdhe  hue  rakh
varna  mushkil  baḌī  hogī  yahāñ  duniyā-dārī
dekh  insān  ko  insān  se  bāñdhe  hue  rakh
jo  bhulāne  pe  kabhī  bhuul  nahīñ  paatā  hai
mujh  ko  apne  usī  ehsān  se  bāñdhe  hue  rakh