ek  hī  mas.ala  tā-umr  mirā  hal  na  huā
niiñd  puurī  na  huī  ḳhvāb  mukammal  na  huā
shahr-e-dil  kā  jo  makīñ  hai  vo  bichhaḌtā  kab  hai
jis  qadar  duur  gayā  aañkh  se  ojhal  na  huā
aaj  bhī  dil  kī  zamīñ  ḳhushk  rahī  tishna  rahī
aaj  bhī  mā.il-e-altāf  vo  bādal  na  huā
raushnī  chhan  ke  tire  ruḳh  kī  na  mujh  tak  pahuñche
ek  dīvār  huī  ye  koī  āñchal  na  huā
jin  ko  ik  umr  kā  nazrāna  diye  baiThe  haiñ
aaj  tak  us  se  ta.āruf  bhī  mufassal  na  huā
un  se  milte  haiñ  bichhaḌ  jaate  haiñ  phir  milte  haiñ
zinda  rahne  kā  amal  ham  se  musalsal  na  huā
jis  pe  rakhnā  thī  mujhe  apnī  asās-e-hastī
apnī  qismat  meñ  'munavār'  vahī  ik  pal  na  huā